Aayushman Card Kaise Banaye: Golden Card Kaise Banaye 2023

Aayushman Card Kaise Banaye Jaisa ki aap sabhi log jante hai ki Aayushman Bharat Yojana sarkar dvara 2017 me lanch kiya gaya tha ish yojana ke tahat labharthiyo ko 500000 tak ka health cover inscurence pradan kiya jata hai, ish yojana ka labh lagbhag 1 crore 63 lakh se jada labharthi utha rahe hai, aayushman card ke madhyam se labharthi kisi bhi niji hospital me jakar apna ilaj karwa sakte hai. aap abhi janege ki Aayushman Card Kaise Banaye.

Aayushman card kaise banaye

Aayushman Bharat Card Muft Hua banana

Ish Yojana ke tahat bharat sarkar dvara patrta card ko free kar diya hai, jiske liye 30 Rs. ka bhugtan karna padta hai. ish faisle se garib pariwaro ko kafi rahat milegi, Aayushamn yojana ke labharthi patrata card banwane ke liye Genral sewa center se sampark karte the aur gramin level ke oprater ko 30 Rs. ka bhugtan karte the. Jiske bad unhe card prapt hota tha lekin ab yah card prapt karna bilkul free hai , yadi dublicate card banwana hai ya card ko fir se print karwana hai to aapko 15 Rs. ka bhugtan karna hoga yah card labharthio ko biomatric othitication ke bad pradan kiya jayega.Aayushman Card Kaise Banaye

Aayushman card Kaise Banaye

Poster 14x19inch 4 1

Jo log PMJAY golden card banwana chahte hai to wah niche diye gaye sabhi tariko ko follow kare aur labh uthaye, aap log 2 jagah se apna Aayushman card banwa sakte hai.

इसे भी पढ़ें  NEET PG 2023 Exam Date, Will NEET PG 2023 be postponed?

CSC Jan sewa kendra dvara Aayushman Card Kaise Banaye

  • Pahle aavedak ko apne najdiki jan sewa kendra jana hoga fir aapko dekhna hoga ki Aayushman bharat yojana ki suchi me aapka name hai ya nahi
  • Agar aapka name aayushman yojana ki suchi me hoga to aapko golden card diya jayega
  • Iske bad aapko apne sabhi document jaise- Aadhar card, rashan card, mobile number aadi ko CSC center par jakar de
  • Jisse CSC center ka ajent aapka safal panjikaran karega and aapko panjikaran ID pradan karega
  • Fir CSC center wale aapko 10-15 din ke bad aayushman golen card pradan karenge and aapko 30 Rs. fees deni hogi.

Panjikrat and Niji hospitalo ke dvara Aayushman Card Kaise Banaye

  • Yaha pahle aapko apne najdiki hospital me apne documents Aadhar card, rashan card, mobile number aadi ko sath le jana hoga
  • aapka name aayushman yojana ki suchi me jancha jayega
  • Ish suchi me name aane ke bad aapko aayushman card pradan kiya jaega.
आयुष्मान भारत योजना ऑनलाइन आवेदन

Ayushman Card banane ke liye kya-kya document chahiye?

  • Aadhar Card
  • Mobile Number
  • Rashan Card
  • Passport Size photo
  • Email ID

Aayushamn card kaise download kare?

Jinka aayushman card bana hai we sab hi log apna aayushman bharat golden card Jan Sewa Kendra and Dm ke office se print karwa sakte hai lekin aap Aayushman card jis ajent se banwaya hai wahi se prapt kar sakte hai

ya fir ish tarike ko follow kare

  • Sabse pahle aapko Aayushman bharat card ki sarkari website par jana hoga site par jane ke bad aapke samne home page khulkar aayega
  • Ish home page par aapko login ka option dikhai dega us par click karke fir aapko Email ID and passward dalkar Sign in ke button par click karna hoga
  • Iske bad aapke samne agla page khulkar aayega jisme aapko Aadhar number dalkar aage badna hoga
  • uske bad aapko Fingerprint verify karna hoga
  • Fingerprint verify karne ke bad aapke samne agla page khulkar aayega
  • fir aapko aprov benifishyari ke option par click karna hoga iske bad aapke samne golden card ki list aa jayegi
  • ab list me apna name dekhe aur uske aage conferm print ke option par click karna hoga option par click karne ke bad aap jan sewa kendra vailate par redarect ho jayega
  • Iske bad CSC vailate me apna password dale and vailate pin dale iske bad aap home page par aa jayenge
  • Fir aapko candidate ke mane ke aage Download card ka option dikhai dega ish par click karke aap aayushman golden card ko download kar le
  • Ish tarah aap apna Aayushman card download kar sakte hai.
इसे भी पढ़ें  Aayushman card Benefits: Pradhan Mantri Ayushman Bharat Yojana 2022

Ayushman card banane ke video dekhe

Aayushman card kisi or ke name hone par yaha complain kare

  • Yah complains Karne ke liye aapke pass koi pramanit document hona jaroori hai Jaise ki Aadhar card, Pradhan Mantri Ji ka later, plastic card and
  • Iske alawa yojana se related document lekar labharthi head health office adhikari ke pass ja sakta hai mamle ki janch ki jayegi and document ka check kiye jayenge
  • checking ke bad complain sarkar ko bhej di jayegi sarkar dvara anumati parpt hone par labharthi hospital ya CSC kenra ke madhyam se Aayushman bharat golden card banwa sakta hai
  • Toll-free 180018004444 And 14555 hai.

Conclusion:

Toh abhi humne Aayushman Card Kaise Banaye or Golden Card Kaise Banaye 2022 ke bare me jaan liya hai. Agar abhi bhi aap ko samajhne me koi problem ho rahi hai.

Toh aap neeche comment me jarur bataye mai poori koshis karunga ki mai aapki Aayushman Card se related har problem ka solution aapko provide karau.

Aur bhi ishi tarah ki latest news, Sarkari Yojana, Uttar Pradesh, job se related jankari ke liye Aap humari ish newjankari.in site ko subscribe bhi kar sakte hain. Toh dosto abhi ke liye bas itna hi fir milenge kisi aur helpfull information ke saath tab tak ke liye bane rahiye newjankari.in ke saath. Thanks for comment below..

Yeh Bhi padhe

About Pradeep Kumar

I am Pradeep Kumar From Uttar Pradesh. I am providing education knowledge on this website, If you want to read these type of articles, then bookmarks this website now.

Leave a Comment